Visiting my home after a long gap left me with these thoughts...sometimes scared, sometimes in deep pain, resonance of past echoing in my ears...
Kyun...
Lagte hain sune ab woh galiyaan
ab hua suna kyun woh makaan
Guzarte the saikdon bar jin dar o deewaron se
ab kyun guzar na pate hain un chowbaaron se
Jis darwaze pe hota tha hamara intezar
ab kyun lagta hai darr jane us chowkhat ke paar
Jo tha aangan mera, jahan beeta tha bachpan mera
ab kyun lagta hai woh bejaan sa ujda sa
Jiss chatt par chandini raaton mein suna karte the kahani aur kisse
ab kyun kale badal hai uske hisse
Jo ghar tha mera, jahan gunjti thi sirf khusiyaan
ab kyun gehra sannata hai chaya wahan
Jis ashiyane mein bune the woh hazaron khwaab
ab kyun lagta hai pura hona unka bemaine sa.......
Kyun badal gayi woh duniya
Kyun jud gaya gham se naata
Kyun na hogi koi khushiyaan ab wahan
Kyun na basega phir se koi gharonda wahan
Kyun jam gayi dhool waqt ki un khidkiyon pe
Kyun hogayi kamzor wahan ki buniyaad
Kyun ab koi rehta nahin wahan
Kyun ab koi hasta nahin wahan..............